Sunday, September 21, 2008

Kuch Kavitae

(1)
kuch josh baki hai, kuch hosle baki hai,
kuch himmat baki hai, kuch kwahishe baki hai,
iss choti si jindagi mein,
abhi arman bahut baki hai,
tan ka burapa aae to kya,
man mein bachpan baki hai,
murjhae chahe kitne ful,
ek chaman ka sapna baki hai.

(2)
sirhane rakhi khwab ki jholi,
ek tuta to dusra nikala,
wah tuta to tisra,
tha wo ek jadu ka pitara.
rangbirange khwab sajae gin gin tare,
tara tuta,
hue khwab parae,
aass na tuti, baat na tuti,
na tuti ye saas bhi,
par ek khwab tha sabse chupaya,
khwab wah tha pankho wala,
ek din pankh kho gae jangal me,
khwab bhi tute gir kar yu hi,
aaj saas hai ek hi baki,
kab tut jae apne samay se,
na khwab hai baki, na baat hai baki. (PP)

No comments: